Pages

Tuesday, 18 October 2011

Kisi Roz Milo Humain Sham


Pyar ek haseen lamha hai usko jeene wala chahiye

Pyar ek haseen lamha hai usko jeene wala chahiye
Pyar ek sapno ki duniya hai usme rehne wala chahiye
Pyar ek vishvas hai uss per sath chalne wala chahiye
Pyar ek khushi hai jisko baatne wala chahiye
Pyar ek bejuba shabd jisko bolne wala chahiye
Pyar ek aashiqui hai jiska sath nibhane wala chahiye
Pyar ek gam bhi hai jisme aansoo pochne wala chahiye
Pyar ek sath suro ka sangam hai jisme taal milane wala chahiye
Pyar ek diwangi hai jisme kho jane wala chahiye
Pyar ek raaz hai jisko samajhne wala chahiye
Pyar ek nadani hai ussa bacchane wala chahiye
Pyar ek khamoshi hai jisse padhne wala chahiye
Pyar ek heera hai jisko khojne wala chahiye
Pyar ek ehsas hai jisko mehsus karne wala chahiye
Pyar ek aadhura shabd hai usko pura karne wala chahiye
Pyar ek rishta hai jisko apnane wala chahiye
Pyar ek jivan hai jiske sath jingadi bitane wala chahiye..

Yun zindagi ki raah main takra gaya koi


Yun zindagi ki raah main takra gaya koi
ik roshni andhero mein bikhra gaya koi
woh haadsa, woh pehli mulaakat kyaa kahoon
itni ajab thi soorat haalat kya kahoon
wo kehar wo gazab wo jafa mujko yaad hai
wo uski berukhi ki adaa mujhko yaad hai
mittha nahin hai zehan pe yun chaa gaya koi
yun zindagi ki raah main takra gaya koi
Pehle mujhe wo dekhke barham si ho gayee
fir apne hi haseen khayalo main kho gayee
bechargi pe meri usse reham aa gaya
shaayad mere tadapne ka andaaz bhaa gaya
saanso se bhi kareeb mere aa gaya koi
yun zindagi ki raah main takra gaya koi
yoon usne pyaar se meri baaho ko chu liya
manzil ne jaise shaakh ke raahon ko chu liya
ik pal main dil pe kaise qayamt guzar gayi
rag rag mein uske husn ki khusboo bikhar gayi
zulfon ko mere shaan pe lehraa gaya koi
yun zindagi ki raah main takra gaya koi
ab is dil-e-tabaah ki haalat na poochiye
benaam aarzoo ki lazzat na poochiye
ik ajnabi tha rooh ka armaan ban gaya
ik haadsa tha pyaar ka unwaan ban gaya
manzil ka raasta mujhe dikhla gaya koi
yun zindagi ki raah main takra gaya koi

Aayee na uski kabhi koi jo khabar

Aayee na uski kabhi koi jo khabar
Dil gaya hai mar, ye soch sochkar

Kya khub the wo lamhen ulfat ke
Mousam bhi haseen lagte the
Yaad aate hain wo pal reh rehkar
Aayee na uski kabhi koi jo khabar
Dil gaya hai mar ye soch sochkar

Gham ka hai ye alam kya kahen kisise
Zahkme dil bhi to dikha nahin sakte
Tanha hi rote hain aksar chup chupkar

Aayee na uski kabhi koi jo khabar
Dil gaya hai mar ye soch sochkar

Jabtak tha sab kuch tha mera apna
Uski inayat ne yeh haal kardiya
Legaya wo sab kuch mera lut lutkar
Aayee na uski kabhi koi jo khabar
Dil gaya hai mar ye soch sochkar

Jaana hai kahin aur chalte hain kahin
Lagta hai thokar mujhe har mod pe
Kitna sambhalein khudko ab gir girkar

Aayee na uski kabhi koi jo khabar
Dil gaya hai mar ye soch sochkar

Intezaar mein uski rah tak te hain
Barkaraar hai meri abhitak ummidein
Isitarah jeete hain hum mar marker

Aayee na uski kabhi koi jo khabar
Dil gaya hai mar ye soch sochkar

Hota hai dard dil ko aajkal kam
Milti hai rahat amin sharaab se
Bhulane lage hain usko pi pikar
………………………………………………………………………………………………

Ye hawa apki hansi ki khabar deti hai

Taarif Shayari
Ye hawa apki hansi ki khabar deti hai,
Mere Dil ko khusi se bhar deti hai,
khuda salamat rakhe apki hansi ko,
kyu ki apki Khusi hume zindgi deti hai…
`
Raat hai andheri or sunsan si
charo tarf chhayi hai ek virani
khamosh ho kar bhi ye hava kuch hai keh rahi
andhere mein rasta kisi ka jaise dhundti
taare apni roshni se raah hain dekhte
subha ko jane kaha woh gum ho jate…
Taare kitne pyare lagte hain sang hamare
chand to hai adhura akash mein
sang na hon agar ye sare
dekho to asman mein chamkile phool bikhre huye
lagta hai phoolo mein bhi deep jal rahe…
Humare zakhmo ki wajha bhi woh hai
humare zakhmo ki dava bhi woh hai
woh namak zakhmo pe lagaye bhi to kya hua
muhabbat karne ki wajah bhi to woh hai…
Chehra tera chan ton vi sohna
sohni hai teri chaal sohniye
tikhe nain katari varge
lai gaye ne dil mitraan da naal sohniye…
Raat me jugnu ki jagmgahat,
asma me taro ki zilmilahat
thandi vadio me hawao ki sarsrahat,
in sabse bhi khubsurat hai apke chehre ki muskrahat…

Pyaar Mein Milna Zaruri Nahi,

Love Shayari
Pyaar Mein Milna Zaruri Nahi,
Pyaar Mein Izhaar Bhi Zaruri Nahi,
Zaruri Sirf Ehsaas Hai Jo Zindagi Sawarde,
Unhe Pana Ya Na Pana Zaruri Nhi…

Doob Jata Hun Unki Aankhon Mein

shayari on eyes
Doob Jata Hun Unki Aankhon Mein
Gahri Jheel Hain Unki Aankhein
Bah Jata Hun Unki Aankhon Mein
Bahti Nadiya Hain Unki Aankhein
Kho Jata Hun Unki Aankhon Mein
Atha Sagar Hain Unki Aankhein
Jal Jata Hun Unki Aankhon Mein
Jwala Mukhi Hain Unki Aankhein
Bheeg Jata Hun Unki Aankhon Mein
Kali Ghata Hain Unki Aankhein
Kya Se Kya Ho Jata Hun Unki Aankhon Mein
Kaisi Aur Kya Balaa Hain Unki Aankhein..

Shabnami Aag Mein Na,Jalao Mujhako - Romantic Poem


Shabnami aag mein na, jalao mujhako
Preet ke raag aub to, sunao mujhako;
Imtihan mein kitane, aur waqt gujarenge
Apani yadon se na, aur rijhao mujhako.
Khoobsurat sa lagata hai, charon taraf
Tamannaon se lipat, mahakao mujhako;
Aapaki kashish mein, saans hai bahaki
Rajaamandi dekar, bachao mujhako.
Surkh lub per, mere naam ko basa ker
Narmiyon ki lajjat se, nahalao mujhako;
Sandeshe net se dekar, mujhe abaad karo
Apani ankhon ki namin, de jao mujhako.
Mard bhi kaya hai, khud hi dard hai ek
Nari ki najakat se, shakti de jao mujhako;
Prakriti ki sari khubiyan, hain tum mein
Pyar karati ho muhje bole, jilao mujhako.

Khamoshi Bol Uthe - Romantic Urdu Gazal


Khamoshi bol uthe, to har nazar paighaam ho jaye
Ye sannata agar had se badhe to kohraam ho jaye

Sitare mashalen le kar mujhe bhi dhoondne niklain
Mein rasta bhool jaoon to junglon mein shaam ho jaye

Men wo adam-e-guzeda' n hoon jo tanhai k sehra men
Khud apni chaap sun kar larza bar-andaam ho jaye

Misaal aisi hai is daur-e-khirad k hosh mandon ki
Na ho daaman mein zar'ra aur sehra naam ho jaye

Shakeeb apne tarruf ke liye ye baat kaafi hai
Hum is se bach ke chalte hen jo rasta aam ho jaye

Rukta nahi yeh Dil - Romantic Gazal



Kisi ke Roke kabhi, Rukta nahi yeh Dil
Kabhi Dariya to kabhi Hawa, lagta yeh Dil
Aapke supurd ho gayi, zindagi ki khilkhilahat
Aapki aahton per ab, machlta hai yeh Dil
Kuchch na soche, na samjhe kuchch bhi
Pani ki dhaar sa allahd sa, chalta yeh Dil
Kabhi asaani se na ho saki, hasil Mohabbat
Soch yeh baat machal, aag sa badhtaa yeh Dil
Yakayak yun hi kabhi koi, kahin jata hai mil
Na jane hota hai kya ki, mil khil jate do Dil
Aap bhi soch me meri, shamil hain hardam
Aap ko soch kar likhta hai, hamesha yeh Dil

Mohabbat mein koi farmayesh na karna

Mohabbat mein koi farmayesh na karna
Meri ghurbat ki phir numayesh na karna
Jaan to muskura kar doon ga agarcha ho
Wafa ke naam par hijar Azmayesh na karna
Khawbon ki tabeer ki badal jaati hai
Kabhi khwbon ki khawish na karna
Ankhon mein paani dekh kar jal na jaye
Dekhna samundar ke kareeb rehaysh na karna
Tu nahin pas magar dil mein mere shakir
In faslon ki kabhi pemayesh mat karna

Ik baat kahoon ager suntay ho

Ik baat kahoon ager suntay ho
Tum mujh ko achay lagtay ho
Kuch chanchal say kuch chup chup say
Kuch pagal pagal lagtay ho
Hain chahnay walay or bohat
Per tum main hai ik baat bohat
Tum apnay apnay say lagtay ho
Ik baat kahoon ager suntay ho
Tum mujh ko achay lagtay hoo

Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k

Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k
Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k
!
Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k
!
Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay
Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay
!
Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
Aur kuch rooz teray sath guzara ker k
!
Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin
Daikhtay hain yeh aziat gawara ker k..!!

MOHABBAT KI KASAM HUM, WAFA KAR RAHE HAIN

MOHABBAT KI KASAM HUM, WAFA KAR RAHE HAIN
UNKI NAZAR MEIN SHAYAD ,KHATA KAR RAHE HAIN
RUTHE RUTHE SE HAIN WO MANAYEIN BHI TO KAISE
KHABAR HI NAHIN KYUN RUTHE HAIN WO HUMSE

MOHABBAT KI KASAM HUM, WAFA KAR RAHE HAIN
UNKI NAZAR MEIN SHAYAD ,KHATA KAR RAHE HAIN

PAL PAL MEIN EK PAL ISTARAH BHI AAYA
UNKE HI FIKR MEIN JEE MERA GHABRAYA
UNKE LIYE HAMESHA KHUDA SE,DUA KAR RAHE HAIN

MOHABBAT KI KASAM HUM, WAFA KAR RAHE HAIN
UNKI NAZAR MEIN SHAYAD ,KHATA KAR RAHE HAIN

JAB BHI KABHI KAHIN UNSE MULAKAAT HUI
HAAN SIRF SHIKWE SHIKAYATON KI BAAT HUI
KHAMOKHAN KYUN WO HUMSE,GILA KAR RAHE HAIN

MOHABBAT KI KASAM HUM, WAFA KAR RAHE HAIN
UNKI NAZAR MEIN SHAYAD ,KHATA KAR RAHE HAIN

DEKHTE HI WO HUMSE NAZREIN CHURATE HAIN
MERE KAREEB AANE PAR DOOR CHALEJATE HAIN
BE WAZAH WO MERE DIL PE,ZAFA KAR RAHE HAIN

MOHABBAT KI KASAM HUM, WAFA KAR RAHE HAIN
UNKI NAZAR MEIN SHAYAD ,KHATA KAR RAHE HAIN
========================================

APNA DIL PESH KAROON APNI WAFA PESH KAROON

APNA DIL PESH KAROON APNI WAFA PESH KAROON,
KUCH SAMAJH ME NAHI ATA TUJHE KYA PESH KAROON,
TERE MILNE KI KHUSHI ME KOI NAGMA CHEROON,
YA TERE DARD KI JUDAAI KA GILA PESH KAROON,
MERE KHABON ME BHI TU MERE KHYALON ME BHI TU,
KONSI CHEZ TUJHE TUJHSE JUDA PESH KAROON,
JO TERE DIL KO LUBHA LE WO ADA MUJHME NAHI,
KYON NA TUJHKO KOI TERI HI ADA PESH KAROON

Teri khaatir jo roti hoo'n tau ye meri muhabbat hay

Teri khaatir jo roti hoo'n tau ye meri muhabbat hay.
Jo motii rooll deti hoo'n tau ye meri Muhabbat hay.

Tumhari Yaad ki kirno ko aksar aankh main rakkh karr.

May apni nind kho-thi hoo'n tau ye meri muhabbat hay.

Huwa Ehsaas khushboo chandni ko dekh kar aksar.

Terey dhoke main rehti hoo'n tau ye meri muhabbat hay.

falak pe chand taaro k hasii'n jurmutt k manzar may.

tere chehrey ko takti ho'n tau ye meri muhabbat hay.

main apni zindagi k saarey jazbo'n ko merey jaanaa.

Tumhaare naam karti hoo'n tau ye meri muhabbat hay.

kabhi too dekh le Aa kar DUA'A raah-e-muhabbat main.

may khudd se khudd hi larhti ho0'n tau ye meri muhabat hay

KHABHI JO DEKHNI HO MUHABBAT

KHABHI JO DEKHNI HO MUHABBAT
TU MERI CHAHHATON MAI AJANA

KHABHI JO KARNI HO MUJSE BATEN

TU MERI YADOON MAI AJANA

KHABHI JO CHAHO MEHSOOS KARNA PYAR MERA

TU MERI ANKHON MAI AJANA

KHABHI JO SUNNI HO AWAZ MERE DIL KI

TU MERI DHARKANO MAI AJANA

KHABHI JO PAO KHUD KO AKELA SA

TU MERI RAHON MAI AJANA

KHABHI JO SOO NA PAO MERI YADON MAI

TU MERI RATON MAI AJANA

KHABHI JO GHABRAO IRD GIRD K MAUSAM SE

TU MERI BAHON MAI AJANA..........

Labon ki sersarahat se,

Labon ki sersarahat se,
badan k choor hony tak.

Main tujh ko is tarah chahoon.

K meri saans ruk jaye.

Khataon par khata'ain hun,

Na ho kuch baat
kehny ko.

Main tujh men yun sama jaon,

K meri saans ruk jaye.

Na himmat tujh men ho baqi,

Na himmat mujh men ho baqi,

Magar itna qareeb aaon,

K meri saans ruk Jaye.

Tery honton pe jab rakhun,

Main apny hont kuch aesy,

Ya teri pyaas bujh jaye,

YA MERI SAANS RUK JAYE

Tu Jo Bichra To Sunsan Nagar Kgta Hay

To jo bichhra to sunsaan nagar lagta hy,

Hay shehr apna anjan nagr lagta hai...




Khof-e-tanhai hy mujh py mussalat aise,


Dil dhrakta hy to dharkan se b dar lagta hy...




Na koe rasta hy na koe nishan-e-manzil,


Bin tere zindgi ik aisa safar lagta hy...




Aa zara dekh sahi mere ghar ka aalam,


To nhi to veeran khandar lagta hy...




Dard ahbaab se itnay mile hain mujhko


Ab to apne hi saye se dar lagta hy.

Tery Pass Any Ko Jee Chahta Hai

terey paas aane ko jee chahata hai
naye zakhm khane ko jee chahata hai

zamana mera aazmaya huwa hai
tujhey aazmane ko jee chahata hai

wahi baat reh reh k yaad aa rahi hai
jisey bhool jane ko jee chahata hai

labo'n par merey khailtey hain tabassum
jab aansoo bahane ko jee chahata hai

takalluf na kar aaj barq e tajalli
nasheman jalaney ko jee chahata hai

rukhey zindagi se naqabain ulat karr
haqiqat dikhane ko jee chahata hai

Chalo Iqrar Kertian Hain





Deewan-E-Ghalib

 


 

Ahle Muhabt Ki Shan


Ye Kis Khalish Ny Phir Is Dil Main Aashiana kiya


Faiz Ahmed Faiz dostana kia Designed Urdu Poetry

Itna Toota Hun K Choonay Sy Bikhar Jaon Ga


Ab K Hum BIchray Shayd Kabhi


Monday, 17 October 2011

Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka


Zindgi Main To Sabhi Pyar Kiya Krty hain


Main Hosh Main Tha Phir Us py Mar Gaya Kesy


Mujy Tum Apny Hathon Ki Lakeeron Main Na Dhondo


Kahi Sy Tera Sath Ly Aon


Main Kal Bhi Khali Tha

Images Gazals

Imges poetry

Imges poetry

Imges poetry




Imges poetry



ab ke yuN dil ko sazaa dii hamne

ab ke yuN dil ko sazaa dii hamne
us kii har baat bhulaa dii hamne
ek, ek phuul bahut yaad aaya
shaaKh-e-gul jab vo jalaa dii hamne
aaj tak jis pe vo shermaate haiN
baat vo kab kii bhulaa dii hamne
shah’r-e-jahaaN raaKh se aabaad huaa
aag jab dil kii bujhaa dii hamne
aaj phir yaad bahut aaya vo
aaj phir us ko du’aa dii hamne
ko’ii to baat hai us meN “Faiz”
har Khushii jis pe luTaa dii hamne

aaGhaaz to hotaa hai anjaam nahiiN hotaa

aaGhaaz to hotaa hai anjaam nahiiN hotaa
jab merii kahaanii meN vo naam nahiiN hotaa
jab zulf kii kaalikh meN ghul jaaye ko’ii raahii
bad-naam sahii lekin gum-naam nahiiN hotaa
haNs haNs ke javaaN dil ke ham kyouN na chune TukRe
har shaKhs kii qismat meN ina’am nahiiN hotaa
bahte hu’e aaNsuu ne aaNkhoN se kahaa tham kar
jo mae se pighal jaaye vo jaam nahiiN hotaa
din Duube haiN yaa Duubii baaraat liye kashtii
saahil pe magar ko’ii kohraam nahiiN hotaa

aabaad raheinge weeraane, shadaab raheingi zanjeereiN

abaad raheNge veeraane, shaadaab raheNgi zanjeereN
jab tak deewaane zindaah hai.n, phuuleNgi phaleNgi zanjeereN
aazaadi kaa darwaazaa bhii Khud hi kholeNgi zanzeeren
tukRe tukRe ho jaayeNgi jab hadd se baRheNgi zanzeereN
jab sabke lab sil jaayeNge, haathoN se kalam chhin jaayeNge
baatil se lohaa lene kaa, ailaan kareiNgi zanjeereN
andhoN behroN ki nagrii me.n yuuN kaun tawajjoh kartaa hai
maahaul sunegaa, dekhegaa, jis waqt bajeNgi zanjeereN
jo zanjeeron se baahar haiN, aazaad unheN bhi mat samjho
jab haath kaTenge zaalim ke, us waqt kaTengii zanzeereN
ye taur bhi haiN sayyaadi ke, ye dhang bhi haiN jallaadi ke
Gar aisaa hi maahul rahaa,phaileiNgi badheiNgi zanjeereN
majbooroN ko tarsaayengi, yuuN aur hameN taRpaayeNgi
zulfoN ki yaad dilaayeiNgi, jab lehraayeNgi zanjeereN
zanjeereN to haT jayeNgi, haaN, inke nishaaN rah jayeNge
meraa kyaa hai, zaalim, tujhko badnaam kareNgi zanjeereN
le, de k Hafeez in se thii.n, ummiid-e-wafaa deewaanoN ko
kyaa hogaa jab deewaanoN se naataa toReNgi zanjeereN

aa gayii yaad sham Dhalte hii

On the second day of Jashn-e-Ghulam Ali, here is a beautiful Ghazal of Munir Niazi sung by Ghulam Ali.
aa gayii yaad sham Dhalte hii
bujh gayaa dil chiraaGh jalte hii
khul gaye shahr-e-Gham ke darvaaze
ek zaraa sii havaa ke chalte hii
(shahr-e-Gham : city of sufferings)
kaun thaa tuu ke phir na dekhaa tujhe
miT gayaa Khvaab aaNkh malte hii
tuu bhii jaise badal saa jaataa hai
aks-e-diivaar ke badalte hii
(aks-e-diivaar : reflection of the wall)